Great minds discuss ideas,Mediocre minds discuss events, Small minds discuss people.

Sunday, May 24, 2009

Ghalib is God


Ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota ;agar aur jeete rehte yahee intezaar hota (It was not in my fate to meet my lover, had I lived longer, this would still be my only desire)
Tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa; ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota (To live on your promise is to make my life a lie,would I not have died of happiness if I trusted it )
Teree naazukee se jaana ke bandha tha 'ehed_booda ;kabhee too na tor sakta agar oostuwaar hota (From your frailty I learnt that the promise was delicate; it would not stand broken had you been determined)
Koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko; ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota (Someone ask me about your half-drawn arrow ,would I even feel this pain if it had pierced my heart)
Ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh; koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota (What kind of friendship is this, that friends are now advisers, someone should ease my pain, someone sympathize with me)
Rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta ;jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota (As from every nerve drips blood without restraint, if that which you think is anguish is but a spark)
Gham agarche jaan_gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai ;gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota (Threatening as love is, there is no deliverance from the heart ,if not the torment of love, it would be the torment of life)
Kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai; mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota (Whom shall I narrate the pangs of these evenings of sorrow, Ii would have not resented this death, had it come only once)
Hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya; na kabhee janaaza uthata, na kaheen mazaar hota (That I died and was disgraced, why was I not just drowned, never would have been there a funeral, nor a tomb erected)
Usay kaun dekh sakta ke yagaana hai wo yaktaa ;jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota (Who can see him since his Oneness is without peer ,even the scent of his duality would be an introduction)
Ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan 'Ghalib'! ;tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota (This mysticism, these statements of yours Ghalib,you would be a saint, if only you were not inebriated)

No comments:

Post a Comment